Problem :------->
Agar VRM section me shorting hain to motherboard on hokar fir off ho jayega kahne ka matlab he cpu fan chal kar ruk jayega yadi yah problem hai to motherboard me shorting hain
sabse pahle yah pata karna hoga ki mother board me shorting kaha hai
yadi vrm section me shorting hogi to vrm ki supply nikaal dene par motherboard on ho jayega lekin display nahi aayegi
yadi vrm supply dene par motherboard on hokar phir band ho jata hai lekin vrm ko supply nahi dete hai to cpu fan ghumta he to iska matlab vrm me shorting hai
Check Shorting
sabse pahle mosfet ko motherboard se nikal kar open ya shorting ke liye check kare
yadi mosfet short he to same number ka mosfet laga de
yadi mosfet sahi he to coil se pahle or coil ke baad lage capacitor ko shorting ke liye check kare
capacitor short he to same capacitance ka capacitor laga de
Note:--
{Yadi mosfet short hai lekin same number ka mosfet nahi mil raha hai to jo mosfet short he
usko nikal de
yadi main mosfet short he to uske supporting mosfet dono ko nikal de to bhi motherboard on ho jayega
lekin kab tak chalega kaha nahi ja sakta hai }
How to check vrm click here
0 Comments