INSTALL OS VIA PENDRIVE
Pen Drive se oprating software install kaise kare ya pendrive ko bootable kaise banaye yah jante he
wese to cd ho ya pendrive kisi ko bhi bootable banane ke liye booting file ka hona jaruri hota hai lekin me aapko ek tool ke dwara pendrive bootable banana bataunga
sabse pahle aapke pass 2Gb ya usse jyada GB ki pendrive honi chahiye aapko yah dekhna hoga ki aapko konsi OS install karni hai
yadi window XP hai to 2GB
window Vista,7,8 hai to kamse kam 4GB ki pendrive honi chahiye
agar aapko multiboot pendrive banani hai to 8Gb ya usse upar
multi boot ka matlab ek hi pendrive se aap do ya do se jyada OS install kar sakte hai
Jaise:-
Window Xp
Window Vista, 7,8
LInux, Ubunto
Fedora
or bhi bahut saare OS aap ek hi pendrive me rakh sakte hai
Sabse pahle jo Os aapko install karni hai uski aapke pass ISO File honi chahiye
Jaise Window Xp lagbhag 600-700Mb ki hoti hai iski ISO File honi Chahiye
ISO file banane ke liye Koi bhi ISO Maker Tools ya Software Ka Upyog Kar sakte hai
Jaise
ISO Maker Tools Download
Ab aapko ek software or Download karna hai Yumi
0 Comments